Ganesh Chaturthi 2022 Wishes in Hindi: Ganesh Chaturthi also called Vinayaka Chavithi is an auspicious Hindu festival which is celebrated for 10 days every year. The festival is celebrated in the Bhadra month as per the Hindu calendar which generally falls in mid-August to September. It marks the birthday of the beloved elephant-headed Lord Ganesha. Ganesha is known as the God of wealth, sciences, knowledge, wisdom and prosperity.
Ganesh Chaturthi 2022 Wishes in Hindi
Aao nit karein inki pooja kyunki is jaisa man ko mohne wala nahi bhagwan koi dooja…. Sir niwakar lein inka Ashirwad… Ganesh Chaturthi ka din hai sabse khaas.
Asha hai hi Ganesh ji ki kripa drishti bani rahe aap par har dum, har kamna purn ho, har safalta kadam chume, har din samridh ho….. Ganesh Chaturthi ki badhaiyan.
Yeh hai Ganpati ka darbar aur jo bhi aaya hai inke dwaar, wo khali haath nahi lauta ek bhi baar…. Maang lo dil se jo chaho ek baar kyunki aaj hai Ganesh Chaturthi ka tyohar.
Har subh karya inki pooja ke bina hai adhura, har teej tyohar par naam likha hai inhi ka pehla…. Aise vignaharta ko karein naman kyunki aaj hai Ganesh Chaturthi ka paavan din.
Happy Ganesh Chaturthi 2022 Invitation Message in Hindi
Ganesh Chaturthi ka din banayein aur bhi khaas…. Aao mil jul kar manayein Ganpati Bappa ka janmdin harh aur ullas ke saath….. Vinayak Jayanti ki badhaiyan.
Aao saath milkar manayein Ganesh Chaturthi ka tyohar…. Khushiyan baatein, mauj manayein kyunki Ganpati padharein hai humare dwar….. Happy Ganesh Chaturthi 2022.
Baatein khushiyan aur prem kyunki Ganpati Bappa padharein hai humare ghar mein…. Aapko kartein hain amantrit Ganesh Chaturthi ke avsar par, kar lein unke darshan jee bhar kar.
Dil se hartein aapka swagat apne aangan mein kyunki Vinayak virajein hain humare is gharonde mein….. Ganesh Chaturthi jaisa paawan din khushiyon se bhar jaaye jab sab saath milkar manayein ye tyohar.
Few Lines on Ganesh ji in Hindi
Hum jaante hain inko anek naamo se kyunki prasidh hain prabhu apne adbudh kaamo se…. Ganpati Bappa ki Jai.
Ridhi Sidhi saath mein lekar aate hain Ganesh…. Ganesh Chaturthi ko har mayine mein khaas banate hain Ganesh.
Sab ka moh lein ye mann apni pyaari si, masum si surat se…. Ye hain Ganpati, Vignaharta, Ashtvinayak humare.
Inka ashirvad paa kar har insan dhany ho jata, inke charno mein aakar har sukh prapt ho jata… Ganesh Chaturthi ki dhero badhaiyan.
Inspirational Blessing Quotes on Lord Ganesha
Har dard, har dukh hai inke paas samadha, ye hain humare pyaare Ganpati bhagwan…. Ganesh Chaturthi par karte hain unko naman.
Jisne bhi kiya hai inka dhyaan, wo ho gaya hai dhanya pa kar inka pyaar aur ashirvad…. Aise Siddhivinayak ko karein pranaam…. Ganesh Chaturthi ki badhai.
Haath jodkar karein prarthna Vinayak se, bhar dein humari jholi apne pyaar aur ashirvad se…. Ganesh Chaturthi ke paavan avsar par banaye rakhein apni kripa drishti.
Jeevan jeene ki nayi raah jo hain dikhate, har sankat se bhi wo hi hain bachate…. Ganesh Chaturthi ke shubh avsar par de dein wo hum subko sukhi Jeevan ka daan.
Ganpati Slogans in Hindi
Ganpati Bappa Moriya!!! Mangal Murti Moriya.
Ganpati Bappa ki Jai!!! Siddhivinayak ki Jai!!! Vighnahartha ki Jai.
Jisne jeet liya Ganesh ka mann, uska Jeevan ho gaya hai dhanya.
Khushiyon ko karein dugna aur gum ko karein aadha, ye hai Shree Ganesh ka vaada.
हमें Google News पर फॉलो करे- क्लिक करे !
Read Also : Happy Krishna Janmashtami 2022 Wishes
Read Also : Happy Raksha Bandhan 2022 Messages
Connect With Us : Twitter | Facebook | Youtube